Tu bari sakhi hai fatima
Mohsin e ali hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Ikhtiyar e kun ky bawajood
Chakki peesti hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Mustafa (saw) ko mangna para
Tab Kaheen mili hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Aye hain hassan bawaqt e zuhar
Asar parh rahi hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Waqt ky Imam ke liye
Aag par chali hai fatima sa
Sayyada tu bari sakhi.....
Jaye ga jinan mein kaise sheikh
Dar pe hi khari hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Sin ko chor maraby ko dekh
Nooh (as)se bari hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Laillha jhoom ne laga
Sajda kar rahi hai fatima
Sayyada tu bari sakhi.....
Is liye juda hai fatema
Rahemate khuda hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....
Kya batau kya hai fatema
Mustafa ki jaan hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....
Baat Itani kya bayan karu
Sayyado ki maa hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....
Mere ghar me roshni hui
Naam jab likha hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....
Us ki mushkile bhi tal gayi
Jis ne padliya hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....
Karbala ki sarzamin ko
Tum ne sab diya hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....
Paradadari Kis ko kehte hai
Tum se hi sikha hai fatema
Sayyada tu bari sakhi.....