Qalb-e-aashiq hain ab para para
Alwada alwada mahe ramzan
Tere aane se dil khush huwa tha
Aur zauq-e-ibadat badha tha
Aahh ab dil pe hain ghum ka galba
Alwada alwada mahe-e-ramazan
Naikiyan kuch na hum kar sakain hain
Aah issiya he main din katain hain
Haaye gaflat main tujh ko guzara
Alwada alwada mah-e-ramzan
Koi husn-e-amal na kar sakaa hoo
Chand ansoo nazar kar raha hoo
Yehi hai mera kul asasa
Alwada alwada mah-e-ramzan
Jub guzar jayenge mah gyarah
Teri aamad ka phir shoor hoga
Kiya meri zindagi ka bharosa
Alwada alwada mah-e-ramzan
Bazm Iftar sajti thi kaisi
Khoob sehri ki ronak bhi hotee
Sub sama ho gaya suna suna
Alwada alwada mah-e-ramzan
Yaad ramzan ki tadpa rahi hai
Aansoo ki jadi lag gayee hain
Keh raha hai har aik qatra
Alwada alwada mah-e-ramzan
Tere diwane sub ke sub ro rahe hain
Muztarib sub ke sub ho rahe hain
Kaun dega inhe ab dilasa
Alwada alwada mahe ramzan
Sag-e-ATTAR, badkar, qahil
Rah gaya yeh ibadat se ghafil
Is se khush hoke hona rawana
Hum sub se khush hoke hona rawana
Alwada alwada mahe ramzan
Aae musalman tho zinda rahoge
Is mahiney ko phir dekh looge
Kiya teri zindagi ka bharosa
Alwada alwada mah-e-ramzan]
Waasta tujh ko meethey nabi ka
Hashr mai hum ko mat bhool jana
Roz-e-mehshar humain bakhshwana
Alwada alwada mah-e-ramazan
Tum pe lakhoo salam mah-e-ramzan
Tum pe lakhoo salam mah-e-ghufran
Jaa o hafiz khuda ab tumhara
Alwada alwada mah-e-ramazan