Bakht-e-Khufta ne mujhe roze pe janey na diya
Chashm-o-dil seene kaleje se lagane na dia
Aah! qismat mujhe duniya ke ghamon ne roka
Haaye! taqdeer ke taiba mujhe jaane na dia
Itna kamzor kiya zoa'afa e quwa ne mujh ko
Paanv to paanv mujhe sar bhi uthane na diya
Kabhi beemar e muhabbat bhi hue hai achhe
Roz afzu(n) hai marz kaam dawa ne na diya
Sharbat-e-deedar ne aur aag lagai dil mein
Tapish-e-dil ko barhaya hai bujhanay na diya
Sharbat-e-deedar ne aur aag lagai dil mein
Tapish-e-dil ko barhaya hai bujhanay na diya
Sharbat-e-deedar ne aur aag lagai dil mein
Tapish-e-dil ko barhaya hai bujhanay na diya
Ab Kahan jayega naqsh tera mere dil se
Teh mein rakha hai issay dil ne gumanay na dia
Mere aamal ka badla to jahannam hi tha
Mein toh jata mujhe sarkar ne jaane na dia
Nafs-e-badkaar ne dil pe ye qiyamat torri
Aamal naik kia bhi tou chupanay na dia
Aur chamakti sei ghazal koi parho aey noori
Rang apna abhi jamnay sho’ra ne na diya