Marhaba sad marhaba phir aa gaya ramzan hai
Khil uthe murjhaye dil taaza hua imaan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Ya khuda hum aasiyon par ye bada aehsaan hai
Zindagi me phir ata hamko kiya razan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Tujh pe sadqe jaun ramza tu azeem ush shan hai
Tujh me naazil haq ta’ala ne kiya quraan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Abr-e-rehmat chha gaya hai aur sama hai noor noor
Fazle rab se maghfirat ka ho gaya saman hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Har ghari rahmat bhari hai har taraf hain barkatein
Mahe ramzan rahmaton aur barkaton ki kaan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Aa gaya ramzan ibadat par qamar ab bandh lo
Faiz le lo jald ye din tees ka mehman hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Aasiyon ki maghfirat ka lekar aaya hai payaam
Jhoom jao mujrimon ramza mahe ghufran hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Bhaiyo bahno karo sab nekiyon par nekiyan
Pad gaye dozakh pe taale qaid me shaitan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Bhaiyo behno gunahon se sabhi tauba karo
Khuld ke dar khul gaye hain daakhila aasaan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Kam hua zor-e-gunah aur masjide aabaad hain
Mahe ramzanul mubarak ka ye sab faizan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Rozadaron jhoom jao kyon ki deedar-e-khuda
Khuld me hoga tumhe ye wada-e-rahman hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Do jahan ki nematein milti hain rozadar ko
Jo nahin rakhta hai roza woh bada nadaan hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...
Ya ilahi tu madine me kabhi ramza dikha
Muddaton se dil me ye attar ke arman hai
Aa gaya ramzan hai Aa gaya ramzan hai ...