Kaba Sharif

Ya Rabbe Mustafa Tu Mujhe Hajj Pe Bula Hamd Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Ya rabbe mustafa tu mujhe hajj pe bula
Aake mein dekh lun aankh se kaaba tera

Hajj ka sharaf ho phir ata ya rabbe mustafa
Meetha madina phir dikha ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....

Rukh soo-e-kaaba hath mein zam zam ka jaam ho
Pee kar karun main phir dua ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....

Roti rahe jo har ghadi ishq e rasool mein
Wo aankh de de ya khuda ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....

Firdos mein pados de apne habeeb ka
Maula ali ka wasta ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....

Sab ahle khana sath mein ho kaash chal padhe
Soo-e-madina kafila ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....

Mujko baki-e-paak mein madfan naseeb ho
Gausul wara ka wasta ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....

Tu behisab bakhsh de attar e zaar ko
Tujko nabi ka wasta ya rabbe mustafa

Ya rabbe mustafa tu mujhe....