Madina sharif

Ya Nabi Nuskha E Taskhir Ko Mai Jaan Gaya Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Ya nabi nuskha e taskhir ko mai jaan gaya
Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya

Har maka wale ko karta hua hairan gaya
La maka me mera payambar e zeeshan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Har bulandi muje pashti ki tarha aayi nazar
Jab mera gumbade khazra ki taraf dhyan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Doobte doobte jab unki taraf dhyan gaya
Leke sahil ki taraf khud mujhe toofan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Gaib ka Jan ne wala jo unhe maine kaha
Baat iman ki thi kufr bura maan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Bas irade se hi mojo ka hua kaam tamam
Ya nabi Kenna hi chaha tha ke Tufan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Zindagi me to unhe Jan na paya lekin
Jab meri jaan gai mai bhi unhe jan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Jaise barso ki mulakat rahi ho unse
Qabr me dekhte hi mai unhe pehchan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….

Shukr kar shukr ke maut aayi dare aehmad par
Ab madine se kahi Jane ka imkan gaya

Us ko sab man gaye aap ko jo maan gaya….