Ya nabi dekha ye jalwa aapki naalein ka
Arsh ne chooma hai talwa aap ki naalein ka
Aapki khidmat ka mujhko kash mil jaata sharaf
Bandhta haathon se tasma aapki naalein ka
Aapke qadmon ki narmi qalb par mehsoos ki
Jab bhi mein ne naqsh dekha aapki naalein ka
Hashr mein jab log choomay aap ka dust-e-karam
Sab say chup kar loon mein bosa aapki naalein ka
Dast bosi ke to mai bhala kabil kahan
Dijye bas mujh ko bosa aapki naalein ka
Roz-e-mehshar sar pe suraj jab sawa nezay pe ho
Aik nezay per ho saaya aapki naalein ka
Jiss se aagay jaayein tou jal jaye par jibril ke
Uss se aagay jaana dekha aapki naalein ka
Taaj kyun na bheek maangay aapki naalein ki
Taajwar khaatay hain sadqa aapki naalein ka
Mujrim-o-nakara garche aap ka rizwan hai
Dil se phir bhi hai ye shayda aapki naalein ka
ना'त-ख़्वाँ:- Hafiz Aehmad Raza Qadri