Ajmer Sharif

Tasveere Muhammad Hai Manqabat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Tasveere muhammad hai, chehra mere khawaja ka
Kaaba hai faqeeron ka, roza mere khawaja ka

Nazro mein nahi aati, kaunain ki sultaani
Shaaho se bhi afzal hai, mangta mere khawaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Shaadi mere khwaja ki, kya shaan niraali hai
Aaya hai madine se, sehra mere khawaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Jis ko na yaqeen aa e, ajmer chala jaaye
Bat’ta hai waha ghar, ghar, sadaqah mere khawaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Dekho to sakhawat mein, kya shaan hai khawaja ki
Khate hain shahenshah bhi, tukda mere khawaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Jannat ke nazaro ko khatir mein mai kyu laau
Nazron mein samaya hai, roza mere khawaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Phool aaye hai jannat se khushboo hai madine ki
Gunda hai farishton ne sehra mere khwaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Hoti hai waha baarish din raat rehmat ki
Tum jake zara dekho roza mere khwaja ka.
Tasveere muhammad hai.....

Dekho To sakhawat mein kya shaan hai khwaja ki
Khate hain shahenshah bhi sadqa mere khwaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Aashiq hai marehra ke khadim hain bareli ke
Is dar se mila humko darbar hai khwaja ka
Tasveere muhammad hai.....

Kaabe ki taraf zahid, main kaise palat aau
Sayyad ne bataaya hai, rasta mere khawaja ka
Tasveere muhammad hai.....