Bharat me nahi he bas chalta mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me sikka mere khwaja ka
Duniya se kiya parda sadiya hui khwaja ko
He aaj bhi Bharat me qabza mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me.......
Gar dil ka Suku chaho ajmer chale aao
Dete he suku dil ko roza mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me.......
Azmat mere khwaja ki tum Kese ghata o ge
Mehboobe khuda se he rista mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me.......
He shan karimana apna ho ya begana
Lene sabhi aate he sadaqa mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me.......
Zahra ke Wo pyare he haidar ke dulare he
Sarkar do aalam he Dana mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me.......
Me gosh ka saida hu kya mera bigado ge
He sar pe mere "Aasim" saya mere khwaja ka
Chalta he jahan bhar me.......