Shaheed mar nahi sakta hussain zinda hai
Nabi ki aal ka dulha hussain zinda hai
Yazeed dafn tabood-e-zulm main ab bhi
Wafa ke bagh main mera hussain zinda hai
Shaheed zinda hai lekin hame shaoor nahi
Ye marte marte bhi kehna hussain zinda hai
Hussain tere lahoo se khila hai gulshane deen
Hamara deen hai zinda hussain zinda hai
Inhe to rizq diya jata hai suno logo
Sada gumaan ye rakhna hussain zinda hai
Kaho wo murda hai unko jo murda kehta hai
Hussain zinda hai zinda hussain zinda hai
Utar rahe hai ziyarat ke waste qudsi
Lahad main aaj bhi mera hussain zinda hai
Wo karbala main ujagar shahadat-e-sabbir
Lahoo ke chhiten hai taza hussain zinda hai
Zara tum dekho hassan neze par hussain ka sar
Tilawat-e-quran main tha hussain zinda hai