Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye
Tadap raha hoon madine ki hazri ke liye
Taiba ke jaane walo jakar bade adab se
Mera bhi qissa e gham kehna shah e arab se
Kehna ke shah-e-aalam ek ranjo ghum ka maara
Dono jahaan mein jiska hain aap hi sahara
Haalaat e pur alam se iss dum guzar raha hai
Or kampte labon se fariyaad kar raha hai
Paye gunaah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aisa jo puchne ko aaye
Bhula hua musafir manzil ko dhoondta hai
Tariki keo maah-e-kamil ko dhoondta hai
Seene mein hai andhera dil hai siyaah khana
Yeh hai meri kahaani sarkar ko sunana
Kehna mere nabi se mehroom hu khushi se
Sarwar qabr-e-ghum hai ashkon se aankh nam hai
Paamaal-e-zindgi hoon sarkar ummati hoon
Ummat ke rehnuma ho kuch arz-e-haal sun lo
Fariyaad kar raha hoon main dil figaar kab se
Mera bhi qissa-e-ghum kehna shah-e-arab se
*Huzoor aisa koi intezam ho jaye
Salam ke liye hazir ghulam ho jaye*
Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye....
Mera dil tadap raha hai mera jal raha hai seena
Ke dawa wahi milegi mujhe le chalo madina
Nahi maal-o-zar to kya hai main garib hoon yahi na
Mere ishq mujhko le chal tu hi janib-e-madina
Aaqa na toot jaye ye dil ka aabghina
Ab ke baras bhi maula reh jaoon main kahin na
Dil ro raha hai jin ka aansoo chalak rahe hain
Un aashiqon ka sadqa bulwayiye madina
*Madine jaaoon phir aaoon dobara phir jaaoon
Yeh zindagi meri yunhi tamaam ho jaye*
Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye....
Ae aazam-e-madina jaakar nabi se kehna
Soze gham e alam se ab jal raha hai seena
Kehna ke badh rahi hai ab dil ki iztraabi
Qadmo se door hoon mein qismat ki hai kharaabi
Kehna ke dil mein mere armaan bhare huye hai
Kehna k hasraton ke nashtar choobe huwe hai
Hain aarzoo yeh dil ki mein bhi madine jaon
Sultan-e-do jahaan ko daagh-e-jigar dikha oon
Kaatoon hazaar chakkar taiba ki har gali ke
Yunhi guzaar doon mein ayyaam zindgi Ke
Phoolon pe jaan nisaron kaanton pe dil ko waaroon
Zarron ko doon salaami dar ki karoon ghulami
Deewar-o-dar ko choo moon chokhat pe sar ko rakh doon
Roze ko dekh kar main rota rahoon barabar
Aalam ke dil mein hai yeh hashrat na jaane kab se
Hum sab ke dil mein hai yeh hashrat na jaane kab se
Mera bhi qissa-e-ghum kehna shah-e-arab se
Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye....
Ek roz hoga jana sarkar ki gali mein
Hoga wahi thikaana sarkar ki gali mein
Dil mein nabi ki yaadein lab par nabi ki naatein
Jana to aise jaana sarkar ki gali mein
Ya Mustafa khudara do izn hazri ka
Kar loon nazara aakar main aap ki gali ka
Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Is baar to dikha do ramzan mein madina
Aaqa hamein dikha do ramzan mein madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghadi ka
*Naseeb walon mein mera bhi naam ho jaye
Jo zindagi ki madine mein shaam ho jaye*
Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye....