bagdad Sharif

Qadira Sarwara Rehnuma Dastagir Manqabat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Qadira sarwara rehnuma dastagir
Gaus e azam Imam e mubi be nazir

Qadira sarwara rehnuma...

Zikr se tere tal jaye sab mushkile
Nam se tere paye rihayi asir

Qadira sarwara rehnuma...

Tere zere qadam auliya asfiya
Sarware sarwara peer e roshan zamir

Qadira sarwara rehnuma...

Tu jise chahe de jis kadar chahe de
Teri bakshish nirali ata benazir

Qadira sarwara rehnuma...

Kuch nahi chahte aur tere siwa
Kaise sultan hai tere dar ke fakir

Qadira sarwara rehnuma...

Yeh wazifa hai har gham ka darma waqar
Gaus e aazam madad al madad dastagir

Qadira sarwara rehnuma...