Madina Sharif

Mustafa Aap Ke Jesa Koi Aaya Hi Nahi Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi
Aata Bhi Kese Jab Allah Ne Banaya Hi Nahi

Koi saani naa hai rab ka naa mere aaqa ka
Ek ka jism nahi ek ka saaya hi nahi
Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi...

Qabar mein jab kaha sarkaar ne ye mera hai
Fir firishto ne mujhe haath lagaya hi nahi
Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi...

Zulf wallayel hai rukh wadduha maazaag aankhe,
Is tarah rab ne kisi ko bhi banaya hi nahi
Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi...

Laut Kar aa gaya makka se madina na gaya
Kaise jata tujhe aaqa ne bulaya hi nahi
Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi...

Jab se darwaze pe likha hai main aalahazrat
Koi gustakhe nabi ghar mere aaya hi nahi
Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi...