Madina Sharif

Munawwar Meri Aankho Ko Mere Shamsodduha Kar De


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Munawwar meri aankho ko mere shamsodduha kar de
Gamo ki dhup me wo saya ye zulfe duta kar de

Jahan me un ki chalti hai wo dam me kya se kya kar de
Zami ko aasman kar de surayya ko sara kar de

Jahabani ata kar de bhari jannat hiba kar de
Nabi mukhtare kul hai jis ko jo chahe ata kar de

Faza me ud ne wale yu na itraye nida kar de
Wo jab chahe jise chahe use parwa rawa kar de

Suraka ko bhi sone ke to wo kangan ata kar de
Nabi mukhtare kul hai jis ko jo chahe ata kar de

Ata kar de bula kar de bitha kar de utha kar de
Nabi mukhtare kul hai Jayse jab chahe ata kar de

Nabi se jo he begana use dil se juda kar de
Pidar madar biradar mal o Jaan unpar fida kar de

Jahan mai aam paygame shah ahmed raza kar de
Palat kar puchhe dekhe fir se tajdide wafa kar de

Khayale hazrate hassan se ham yu naate sajate hai
Kami rehjaye jo puri bareli ke raza kar de

Muje kya fikr ho akhtar mere yawar he wo yawar
Bala o ko meri jo khud giraftar e bala kar de

Tamanna e dil e ashraf bas Itni hai share mehshar
Jab aaqa Jame koshar de labe aqdas laga kar de