Madina Sharif

Milad Ho Raha Hai Naat Lyrics, Hafiz Tahir Qadri New Naat 12 Rabi ul Awwal 2023.


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Karam ke badal baras rahe hain
Dilon ki kheti harri bhari hai
Ye Kon aaya ke zikr jiska
Nagr nagr hai gali gali hai
Yeh Kon ban kar karar aaya
Yeh Kon jaan e bahar aaya
Gullo Kay chehre hai nikhre nikhre
Kalli kalli main shaguftagi hai
Diye dilon ke jala ke rakhna
Jo rahat e dil sukun jaan hai
Woh zikr zikr e Muhammadi hai

Kesi ronak kesa manzar kesa mosam dekha
Aamena ka chand chmka dekho noor pheila
Gali gali mohalle me milad ho raha hai

milad ho raha hai milad ho raha hai
milad ho raha hai milad ho raha hai.....

Khushiya manao saare janday lagao sare
Ghar ko sajao sare barqi kum kumo se
Aaj hamare aangan me mehfil e milad saji
Pyare nabi ka naam liya pyare nabi ki baat hui
Naato ke nazrane hai ishq e nabi ke naare hai
Jo bhi aqidat se aaya uss mangte ki bat bani

Kesi ronak kesa manzar kesa mosam dekha
Aamena ka chand chmka dekho noor pheila
Gali gali mohalle me milad ho raha hai......

Iman hamara milad dill jaan se pyara milad
Hai noor ki barish milad momin ki khwahish milad
Hai meri muhabbat milad aur qoum ki izzat milad
Dill dill me basa hai milad ghar ghar me saja hai milad

Jashn e nabi ke moqe par mehfil e naat sajayeangay
Jaan se pyara hai parcham yeh parcham lehraengay
Beithtay uthatay zikr e nabi har halat me karna hai
Whatsapp facebook har ek par jashn ki dp lagaengay

Gali gali mohalle me milad ho raha hai......

Toot ke unko chaha hai zikr e nabi na chorengay
Jashn nabi ki khatir hum har diwar ko torengay
Jazba hai milad e nabi paisay waisa chiz hai kya
Jin ke sadqe milta hai un par sab Kuchh warengay

Gali gali mohalle me milad ho raha hai......

Hayaatuna mohammad qudwatuna mohammad Asha molood un nabi

Jin se bahar e sari hai Jin se rehmat ke badal
Jamke sahaba aehlebait un ke karam se sab har pal
Youm e sahaba karte hai na mane milad ka din
Aise bhi hai log yaha jo hai aklo se peidal

Gali gali mohalle me milad ho raha hai......

Un ke julus me aaya hu hath me unka jhanda hai
Ishq e nabi me chalna hai kya rukna kya darna hai
Pyas thakan aur garmi se me gabhrau na re nah
Is milad ki relli se ishq rasul badhana hai

Gali gali mohalle me milad ho raha hai......

Duniya chahe Kuchh bhi kahe jari rahega apna mission
Iss par Jeena marna hai jashn e wiladat ki hai lagan
Humne "UJAGAR" jaga jaga dil se charcha karna hai
Lazim hai karna humpar yeh rishiya hai aehle sunan

Iman hamara milad dill jaan se pyara milad
Hai noor ki barish milad momin ki khwahish milad
Hai meri muhabbat milad aur qoum ki izzat milad
Dill dill me basa hai milad ghar ghar me saja hai milad.....