Karbala sharif

Mera Badshah Hussain Hai Manqabat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Mera maula maula husain hai......

Jo hua nawasa e mustafa
Wo ali ka beta hussain hai
Jo yazeediat ko fanaa kare
Shahe karbala wo husain hai
Bibi fatima ka wo ladala
Mera badshah wo husain hai

Mera maula maula husain hai......

Kya sunau waqia karbala
Haaye teer neyza kaha laga
Jise choomte rahe mustafa
Wo husaini sar tha kataa hua
Sara ghar ka ghar bhi luta diya
Wo jo kar gaya wo hussain hai

Mera maula maula husain hai......

Yahi bole hazrate hoor shaha
Ya husain aap ka shukriya
Ke yazeediyon se nikal kar
Jo hussainiyon mein bitha diya
Muje manzilon ka pata diya
Mera rehnuma wo hussain hai

Mera maula maula husain hai......

Wo bhi banda kitna ajeeb hai
Jo kahe yazeed bhi theek hai
Ya husaini ban ya yazeedi ban
Ayese jhoot mein keu shareek hai
Kyu do kashtiyon ka sawar hai
Jo hai haq numa wo hussain hai

Mera maula maula husain hai......

Jo dar e hussain pe aa gaya
Sari mannaton ko wo pagaya
Ye gharana aale nabi ka hai
Jo sakhawato ko sikha gaya
Jo faqeer ko kare badshah
Ayesa badshah wo hussain hai

Mera maula maula husain hai......

Ye wazifa hai meri naukri
Main padhunga nade ali ali
Main piyunga jaame kalandari
Main lagaunga naara haidari
Do ujagar ishq mein ye sada
Muje mil gaya wo hussain hai

Mera maula maula husain hai......