Sher
Tapish he ye apne gunah ki,
Ke mere shahar ka mosam khushgawar nahi hota,
Din bhar kar ke nafarmani us ki kehte hai,
Ke razi parwardigar nahi hota.
Tapish he ye apne gunah ki,
Ke mere shahar ka mosam khushgawar nahi hota,
Din bhar kar ke nafarmani us ki kehte hai,
Ke razi parwardigar nahi hota.
Be had zalil o Khuwar hoon maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba meri tauba tu bakhsh de
Main aaj beqarar hoon maula tu bakhsh de
Isyaan ke zer e baar hoon maula tu bakhsh de
Maghmoom o dill figar hoon maula tu bakhsh de
Sharminda kirdigar hoon maula tu bakhsh de
Main zaar hoon nizar hoon maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba, tauba meri tauba...
Main ne bhula diya mujhe marna hai ek din
Mar kar andheri qabar mai jana hai ek din
Aamal ka hisaab bhi dena hai aik din
Haan pull sirat se bhi guzarna hai aik din
Mujrim hoon naabukar hoon maula tu bakhsh de
Be hadd Zalil o Khuwar hoon maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba meri tauba tu bakhsh de
Kuch rakh saka lihaz bhi na mamnuaat ka
Kiya kiya na irtikab kya munkarat ka
Hasil na ho saka mujhe irfan zaat ka
Afsos mai ghulam raha khwahishaat ka
Naadan hoon ganwar hoon maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba , tauba meri tauba.....
Is darja badh gayi mere dil ki ye murdagi
Mai laa saka na apnay amal main bhi umdagi
Aur kar saka na kuch bhi ada haq e bandagi
Barbad kar gaya hoon khuda apni zindagi
Zahir main deen dar hoon maula tu bakhsh de
Be hadd zalil o Khuwar hoon maula tu Bakhsh de
Tauba meri tauba meri tauba tu bakhsh de
Koi ye dekh le na yahi dhadka mujhe laga
Tu dekhta raha mujhe ehsas na raha
Mai badihaz affwo pe bhola raha sada
Be sharm ban gaya mujhe aayi na kuch haya
Main hoon siyah kar maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba, tauba meri tauba...
Iqrar hai mujhe mere maula main hoon laeen
Mayoos per nahi teri rahemat se aye raheem
Khali na bhej dar se tere aye mere kareem
Mere gunha bhi bakhsh teri shan hai azeem
Main bhi umidwaar hoon maula tu bakhsh de
Be hadd zalil o Khuwar hoon maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba meri tauba tu bakhsh de
Kartoot dekhta hoon tu uth ta hai dil main holl
Rehmat pukarti hai ke mus haf zara too khol
La takhnatu bhi tujhko milega khuda ka qaul
Sarey gunaha dhulainge bas ik baar "ubaid" bol
Ya rab main sharmsaar hoon maula tu bakhsh de
Tauba meri tauba, tauba meri tauba.....
Tauba meri tauba, tauba meri tauba