Madina Sharif

Manqabat e Imam Jafar Sadiq Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Wilayat ka hansi tara imame jafare sadiq
Nabi ke noor ka tukda imame jafare sadiq

Imamul momenin Qutbe jahan hain ghause azam hen
Batau Tumko hain kya kya Imame jafare sadiq

Kareneg jab talak sansen hain qayem jism me apni
Tumhare naam Ka charcha Imame Jafare sadiq

Hain pate ghaoso khawaja aur madare pak aur sabir
Tumhare naam Ka sadqa Imame jafare sadiq

Hame 22 rajab Ko hi hain Koonde bharne aaqa ke
Hain ham to apke shaida Imame jafare sadiq

Imame jafare sadiq ka hai Jo chahne wala
Yaqeenan Khuld payega Imame jafare sadiq

Ghulamo Ko ata ho sadqaye maula ali aaqa hain
Ham bhi aapke mangta imame jafare sadiq

"Shajar" kyu kar na is nisbat pe hamko naaz ho
apna hai tumse khoon ka rishta imame jafare sadiq