Madina Sharif

Main Madine Chala Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Main madine chala, mein madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala

Kaif sa cha gaya main madine chala
Jhoomta jhoomta main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,
Chahiye aur kya main madine chala.
Phir karam ho gaya main madine chala...

Mere gande qadam aur unka haram
Laaj rakhna khuda main maine Chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Gumbad-e-sabz par jab pade gi nazar
Kya suroor aayega main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Sabz gunbad ka noor zang kar day ga door
Paye ga dil jila, main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Ashk thamte nahi, paon jamtay nahi
Ladkhadaata hua main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Mere siddique umar ho salam aap par
Aur rehmat sadaa main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Woh uhod ki zammen jis ke ander makee
Mere hamza piya main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar
Ab tou de de Khuda main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Saaqia mai pila main madine chala
Mast-o-bekhud bana main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar
Dekho dekho zara main madinay chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Dekh taare mujhe, yeh nazrein mujhe
Tum bhi dekho zara main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher
Itni jaldi bhi kya main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Haath uth’te rahain mujhko detay rahain
Woh talab se siwa main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Noor-e-haq ke huzoor apne sare kasoor
Bakhswane chala main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Woh bakee ki zameen jis k ander makee
Mere madani zia main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Un ke minaar par jab pade gi nazar
Kya saroor aayega main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Mimbar-e-noor par jab uthay gi nazar
Kya saroor aayega main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Dard-e-ulfat mile zauq badhne lagay
Jab chale kaafila main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Kya karega idher baandh rakht-e-safar
Chal obaid-e-raza main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Kya yeh tu ne kaha a ubaid-e raza
Soch to kuch zarra main madine chala
Phir karam ho gaya main madine chala...

Lutf to jab mile mujh se murshid kahe
Chal obaid-e-raza main madine chala
Main to bas yun hi tha main ki aukat kya
Qaafia yeh mila main madinay chala.