Ajmer Sharif

Kursi Par Koi Bhi Baithe Raja To Mera Khwaja Hai Manqabat e Garib Nawaz Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Kursi par koi bhi baithe raja to mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja mera khwaja maharaja

Haidar ka ladala hai woh zahra ka laal hai
Beshak mera moin muhammad ki aal hai
Deewanon ko kis baat ka akhir malaal hai
Khwaja ko apni praja ka poora khayal hai
Kursi par koi bhi baithe......

Har ankh chahti hai ziyarat moin ki
Har dil me bas gayi hai mohabbat moin ki
Iss sarzamin e hind ke shahon ne keh diya
Mehshar talak rahegi hukumat moin ki
Kursi par koi bhi baithe......

Ham garibon ki sada o ne bulaya hai tujhe
Hind ka shah muhammad ne banaya hai tuje
Kaise aayega koi harf hukumat pe teri
Panjatan paak ne kursi par bithaya hai tujhe
Kursi par koi bhi baithe......

Pyaara hai hasnain ka beshak nabi ki aal hai
Sanjar wala peer mera saiyyada ka laal hai
Mast hai mastan hai har haal mai khus hal hai
Chishtiya daaman ko joh pakda woh maala maal hai
Kursi par koi bhi baithe......

Tu bardabar ki thokare ik baar khake dekh
Milta hai kya kisi se zaraa aazma ke dekh
Tu jin se mil raha hai yeh sare ghulam hai
Raja ko dekhna hai toh ajmer jaake dekh
Kursi par koi bhi baithe......