Madina Sharif

Ka'abay Ke Dar Ke Samne Mangi Hai Ye Dua Faqat lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Ka'abay ke dar ke samne mangi hai ye dua faqat
Haatho me hashr tak rahe daman-e- Mustafa faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....

Apne karam se ay khuda ishq e rasool kar ataa
Aakhri dam labo pe ho salle a'la sadaa faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....

Taibah ki ser ko chale qadmo mein unke jaan de
Daffan ho unke sheher mein hai yahi iltejaa faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....

Duniya ki saari nea'matein meri nazar mein hainch ho
Rakhne ko sar pe gar mile na'lein e mustafa faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....

Munkar nakeer qabar mein humse suwaal jab karein
Aisey me wird hum rakhein aap ke naam ka faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....

Naz aa ke waqt jab meri saanso mein inteshaar ho
Meri nazar ke saamne ghumbad ho wo hara faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....

Naat e rasool e paak hain "nazmi" ka Maqsad e hayaat
Qabr mein bhi labo pe ho sarkaar ki sana faqat
Ka'abay ke dar ke samne.....