Itna kafi hai zindagi ke liye
Rakh le aaqa jo naukri ke liye
Tak ke unko ayyub ke ghar mein
Mahal tarse hai jhopdi ke liye
Aa gaye qabar mein bhi chudwane
Dard kitna hai ummati ke liye
Lambe sajde kiye nabi ne kaha
Aye nawaase teri khushi ke liye
Chaand taare bhi unke qadmon mein
Roz aate hain roshni ke liye
Doobe suraj ko phirse paltaaya
Apne pyare maula ali ke liye
Khud darakht bhi jadein ukhade
Aate hain paas unke hazri ke liye
Mehfile amaad saji rahe ta umar
Iltija yehi hai zindagi ke liye
Aye kash aaye woh maqaam bhi
Jiye bas ham aaqa ki aashiqui ke liye
Deed maangi hai unki aye haakim
Maine bas waqt e aakhri ke liye