Madina Sharif

Hota Agar Zameen Par Saya Rasool ka Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Hota agar zameen par saya rasool ka
Phir pao ummati kaha rakhta rasool ka

Padhte hai yun toh gair bhi kalma rasool ka
Jannat use milengi jo hoga rasool ka
Hota agar zameen par...

Karte hai ehtiram janaza ka isliye
Woh jara hai dekhne chehra rasool ka
Hota agar zameen par...

Sher e khuda na banta toh banta bhi aur kya
Bachpan se hi toh tha yeh paala rasool ka

Duniya ko dekhna bhi gawara nahi kiya
Jab tak ali ne dekha na chehra rasool ka
Hota agar zameen par...

Khwaja ne esa dankka bajaya rasool ka
Lagvaya pandito se bhi naara rasool ka
Hota agar zameen par...

Nara raza ka lagta hai duniya mai islliye
Ahmed raza ke lab pe tha naara rasool ka
Hota agar zameen par...