Ho karam sarkar ab tou ho gaye ghum beshumaar
Jaan-o-dil tum par fida ae do jahan ke taajdar
Mein akela aur masail zindagi ke beshumaar
Aap hee kuch kijiye na ae shah-e-aali waqaar
Yaad aata hai tawaaf-e-khana-e-ka'aba mujhe
Aur lipatna multazim se waalihana baar baar
Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor
Chayn paata dekh kar dil mustajab-O-mustajab
Gumbad-e-khizra ke jalway aur woh iftariyan
Yaad aati hain bohot ramzan-e-taiba ki bahaar
Ya rasoolallah sunn lejiye meri faryad ko
Kon hai jou keh sunnay tere siwaa meri pukaar
Ghum zadaa yoon na huwa hota ubaid-e-qadri
Iss baras bhi dekhta gar sabz gumbad ki bahar