Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahin besahara nahi
Khud unhi ko pukarenge hum door se
Raaste mein agar paon thak jayenge
Hum madine mein tanha nikal jayenge
Aur galiyon mein kasdan bhatak jayenge
Hum waha jake wapas nahi aayenge
Dhoond te dhoondte log thak jayenge
Jaise hi sabz gumbad nazar aayega
Bandagi ka kareena badal jaye ga
Sar jhukane ki fursat milegi kise
Khud hi palkon se sajde tapak jayenge
Naam e aaqa jahan bhi liya jayega
Zikr unka jahaan bhi kiya jayega
Noor hi noor seeno mein bhar jayega
Saari mehfil mein jalwe lapak jayenge
Ae madine ke zaahir khuda ke liye
Daastaan e safar mujko yoon mat suna
Baat badh jayegi dil tadap jayega
Mere mohtaat aansu chalak jayenge
Unki chashme karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shauk-e-safar
Humko iqbal jab bhi ijaazat mili
Hum bhi aaqa ke darbaar tak jayenge
Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahin besahara nahi
Khud unhi ko pukarenge hum door se
Raaste mein agar paon thak jayenge