Ek main hi nahi un par qurban zamana hai
Jo rab e do aalam ka mahboob yagana hai
Ek main hi nahi un par qurban....
Kal pul say hamein jis ne khud par lagana hai
Zahra ka wo baba hai hasnain ka nana hai
Ek main hi nahi un par qurban....
Izzat say na marjayein kyun naam e muhammad par
Youn bhi kisi din hum ne duniya say to jana hai
Ek main hi nahi un par qurban....
Yeh keh kay dar e haq say li maut nein kuchh mohlat
Milad ki aamad hai mehfil ko sajana hai
Ek main hi nahi un par qurban....
Aao dar e zahra par phalaye hue daman
Yeh nasal kareemo ki lajpal gharana hai
Ek main hi nahi un par qurban....
Qurban us aaqa par kal hashr ke din jisnay
Iss ummat e aasi ko kamli mein chupana hai
Ek main hi nahi un par qurban....
Mehroom e karam is ko rakhiye na sar e mehshar
Jaisa hai naseer aakhir saail toh purana hai
Ek main hi nahi un par qurban....