Ek baar madine me ho jaye mera jaana
Phir aur na kuch maange sarkar ka deewana
Pal pal mera dil tadpe din raat kare zaari
Kab aau madine me kab aye meri baari
Kab jaake mai dekhuga darbaar woh shahana
Is aas par jeeta hu ek roaz bulayenge
Aur gumbad e khazra ka deedar karayege
Phir pesh karuga mai ashko bhara nazrana
Bechain nighahon ko deedaar ataa kar do
Daman mera khushiyon se yaa shah e umam bhar do
Aabad khuda rakhe aaqa tera maikhana
Itni si tamana hai ho jaye agar poori
Jaha dekhu madina mai ho jaye jo manzoori
Bin deed kiye shaha mar jaye na deewana
Ek baar madine me ho jaye mera jaana
Phir aur na kuch maange sarkar ka deewana