Bhar do jholi meri ya muhammad
Lautkar main na jaunga khali
Kuch nawaso ka sadqa ata ho
Dar pe aaya hu bankar sawali
Tumhare aastane se zamana kya nahi pata
Koi bhi dar se khali mangne wala nahi jata
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi
Bekaso ke madadgaar ho ya nabi
Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebo ke gham khwaar ho ya nabi
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Hum hai ranj o Musibat ke mare huwe
Sakht mushkil me hai gum se hare huwe
Ya nabi kuch Khudaara hame bheek do
Dar pe aaye hai jholi pasare huwe
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Hai mukhalif zamana kidhar jayen hum
Halat e bekasi kisko dikhlaye hum
Hum tumhare bhikaari hai ya mustafa
Kiske aage bhalaa hath failaye hum
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Haq se paayi woh shaan e Kareemi
Marhaba dono aalam ke wali
Uski kismat ka chamka sitara
Jis pe nazr e Karam tum ne dali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Zindagi baksh di bandagi ko
Aabroo deen e haq ki bachali
Woh muhammad ka pyaara nawasa
Jisne sajde me gardan kataali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Jo Ibne murtaza ne kiya kam khoob hai
Qurbaani e hussain ka anjaam khoob hai
Kurbaan ho ke fatima zehra ke chain ne
Deen e Khuda ki shaan badhaayi hussain ne
Bakhshi hai jisne mazhab e Islam ko hayat
Kitni azeem hazrat e Shabbir ki hai zaat
Maidan e karbala me shah e khush khisaal ne
Sajde mein sar kata k mohammad ke laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen e haq ki bachali
Woh muhammad ka pyaara nawaasa
Jisne sajde me gardan kataali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Hashr me unko dekhenge jis dam
Ummati yeh kahenge khushi se
Aa rahe hai woh dekho mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Mehshar ke roz pesh e Khuda honge jis ghadi
Hogi gunahgaaro me kis darjaa bekali
Aate huwe nabi ko jo dekhenge ummati
Ek dusre se sab yeh kahenge khushi khushi
Aa rahe hai woh dekho mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Sar e mehshar gunahgaro se purshish jis ghadi hogi
Yaqinan har bashar ko apni bakshish ki padi hogi
Sabhi ko aas us din kamli wale se lagi hogi
Ke aise me mohammad ki sawari aa rahi hogi
Pukarega zamaana us ghadi dukh dard ke maaron
Na ghabraao gunahgaro na ghabraao gunahgaro
Aa rahe hai woh dekho mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Aashiq e mustafa ki azan me allah allah kitna asar tha
Sachaa ye waaqiya hai azaan e Bilaal ka
Ek din rasool e paak se logo ne yuh kaha
Ya mustafa azaan ghalat dete hai Bilaal
Kahiye huzoor aapka is me hai kya khayaal
Farmaaya mustafa ne yeh sach hai toh dekhiye
Waqt e sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat bilaal ne jo azan e Sahar na di
Kudrat khuda ki dekho na mutlaq sahar huwi
Aaye nabi ke paas kuch Ashab e baasabaa
Kiya arz mustafa se aye shah e ambiya
Hai kya sabab sahar na huwi aaj mustafa
Jibreel laaye aise me paighaam e Kibriya
Pehle toh mustafa ko adab se kiya salaam
Baad as salaam unko Khuda ka diya payaam
Yuh jibraeel ne kaha khair ul anaam se
Allah ko hai pyar tumhare ghulam se
Farma raha hai aap se yeh rab e zuljalal
Hogi na subha denge na jab tak azan bilal
Aashiq e Mustafa ki azaan me allah allah kitna asar tha
Arsh wale bhi sunte the jisko
Kya azan thi azan e bilali
Bhar do jholi meri ya muhammad....
Kaash purnam dayar e nabi me
Jeete ji ho bulawa kisi din
Haal e gum mustafa ko sunau
Tham kar unke rauze ki jali
Bhar do jholi meri ya muhammad....