Madina Sharif

Beqaraari Thi Neend Aa Gayi Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Beqaraari thi neend aa gayi
Lab pe jab unka naam aa gaya aa gaya
Zikr-e-ahmad sukoon ke liye kis tarah mere kaam aa gaya
Beqaraari thi neend.......

Woh shafi-o-khaleel-o-naji
Woh zabeeh-o-kaleem-o-maseeh
Izhabu keh ke sab ne kaha
Mujhko chhodo imaam aa gaya aa gaya
Beqaraari thi neend.......

Farsh wale padhe jhoom kar
Arsh wale kahe lab ba lab
Mustafa jaane rehmat pe jab
Momeenon ka salaam aa gaya aa gaya
Beqaraari thi neend.......

Woh mehek woh chamak woh damak
Jis pe qurbaan ho jinn-o-malak
Aamina kyun balaayein na lein
Ghar mein husn-e-tamaam aa gaya aa gaya
Beqaraari thi neend.......

Jab umar ibne khattab ko
Noor-e-wehdat mila aap se
Do jahaan ki mili ne'amatein
Dil mein jab ehtaraam aa gaya aa gaya
Beqaraari thi neend.......

Woh madine se phooti kiran
Aayi sanjar se ajmer tak
Har taraf maikade khul gaye
Sab ke haathon mein jaam aa gaya aa gaya
Beqaraari thi neend.......

"Noor" mehshar mein uthe iss tarah
Badiya ho padi panv mein
Aur aaqa kahe chod do
Yeh to mera ghulaam aa gaya aa gaya
Beqaraari thi neend.......