Madina sharif

Bekhud Kiye Dete Hain Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Bekhud kiye dete hain andaz hijabana
Aa dil mein tujhe rakh loon aye jalwa-e-janana

Itna to karam karna aye chasme karimana
Jab jaan labo par ho tum samne aa jaana
Bekhud kiye dete hai....

Ji Chahta hai tohfe mein bhejoon main unhe aankhein
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana
Bekhud kiye dete hai....

Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho baitha
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana
Bekhud kiye dete hai....

Kya lutf ho mahsher me qadmo me girun Unke
Sarkar kahe dekho diwana hai diwaana
Bekhud kiye dete hai....

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chupa baithe karke mujhe deewana
Bekhud kiye dete hai....

Peene ko to pee lunga bas arz zara si hai
Ajmer ka saaqi hu baghdad ka maikhana
Bekhud kiye dete hai....

Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke
Chuta hai na chutega sang e dare janana
Bekhud kiye dete hai....