Bahar-e jaan fiza tum ho nasim-e gulsita tum ho
Bahar-e bagh-e rizwan tum se hai zaibe jina tum ho
Khuda ki saltanut ka do-jahan main kaun dulha hai,
Tumhee tum ho tumhi tum ho yahan tum ho wahan tum ho
Haqeeqat se tumhari juz khuda aur kon waqif hai
Kahe to kya kahe koyee chunee tum ho chunaa tum ho
Kuju hum khaak uftadah kuja tum ae shah-e bala
Agar misl-e zami hum ha to misl-e asma tum ho
Mai bhula aap kī rif’at se nisbat hee hamein kya hai
woh kehne bhar kee nisbat thee kaha hum hai kaha tum ho
Hame umeed hai roz-e qayamat unkee rehmat se
Ke farmaye idhar aao na-mayus az-jeena tum ho
Sitam karo khata karo syiah karo jafa karo
Hamare daman-e rehmat mai aa jao kaha tum ho
Tumhare hote saate dard dukh kis se kahoon pyare
shafī’e asiya tum ho waqīl-e mujrima tum ho
Riyazat ke yahee din hai budhape mai kaha himmat
Jo kuch karna hai abhi karlo abhi noori jawan tum ho
Faqat nisbat ka jaise hoo haqiqi noori ho jau
Mujhe jo dekhe keh uthe miya noori miya tum ho