Madina Sharif

Apne Malik Ka Main Naam Lekar lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Apne Maalik ka main naam lekar
Bazm ki ibteda kar raha hoon
Ya Khuda aabru rakh meri tu
Teri hamd o sana kar raha hoon

Apne Maalik ka main naam lekar...

Tu jo chaahe to ban jaaye qismat
Mere sajdon ki kya hai haqeeqat
Teri chaukhat pe sar ko jhuka kar
Qarz apna ada kar raha hoon

Apne Maalik ka main naam lekar...

Main ne duniya ka dekha nazara
Al-madad kah ke main ne pukaara
Mujh ko apni panah o mein rakhna
bas yahi iltija kar raha hoon

Apne Maalik ka main naam lekar...

Aaj mehfil mein baithe hain jitne
sab ke dil ki tamanna ho poori
sab ko haji bana de tu maula
main tadap kar dua kar raha hoon

Apne Maalik ka main naam lekar...

Apne mahboob ka dar dikha de
mera soya muqaddar jaga de
Lutf duniya ko le aaj se main
apne dil se juda kar raha hoon

Apne Maalik ka main naam lekar...