Moula Ali Roza

Hai Jaha Me Kon Aisa Murtaza Ali Jaisa Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Hai jaha me kon aisa murtaza ali jaisa
Kis ka hai maqam aisa murtaza ali jaisa

Kabe me wiladat ka sharf jis ko hasil hai
Kis ka hai naseeb aisa murtaza ali jaisa

Band ankh ko kholdi jaise mustafa aaye
Ishq ho to bas aisa murtaza ali jaisa

Arz hai Khuda seena noor se munavvar ho
Dil bana de bas aisa murtaza ali jaisa

Hukm e rab tahat jis ki fatima bani dulhan
Khush naseeb kon aisa murtaza ali jaisa

Me gulam muhammad hu naz he me sayyed hu
Nana bhi to hai aisa murtaza ali jaisa.

Hai jaha me kon aisa murtaza ali jaisa
Kis ka hai maqam aisa murtaza ali jaisa