Madina sharif

छूटे ना कभी तेरे दामन मनकबत लिरिक्स

Chootey na kabhi tera daman
Ya khwaja moinuddin hasan
Hai tum pe fida sab tan man dhan
Ya khwaja moinuddin hasan

Ajmer mujhe pohchaade Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan man apna
Ya khwaja moinuddin hasan

Chootey na kabhi tera daman...

Farzande ali ho noor e nabi
Mehboob e khuda hai zaat teri
Ek baar dikha rauza apna
Ya khwaja moinuddin hasan

Chootey na kabhi tera daman...

Kaba ho madina ho ya najaf
har simt nazar tum aate ho
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
Ya khwaja moinuddin hasan

Chootey na kabhi tera daman...

Waliyon ke wali ho tum khwaja
Aur ibne sakhi ho tum khwaja
Tum aal e nabi awlaad e ali
Ya khwaja moinuddin hasan

Chootey na kabhi tera daman...

Aqaa ki atah woh noor e ali
Zahrah ki kali waliyo ke wali
Hasnain ke dil usmaan ke nayan
Ya khwaja moinuddin hasan

Chootey na kabhi tera daman...