Nizamat Ke Aashar, Sher


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

01 Zikre nabi se rang bhara dil nikhar hi gaya
Ishqe nabi hua to aqida sawar gaya
Jis par nigahe sayyed e konain pad gayi
Dariyayi mushqilat ko wo par kar gaya.

02 Aqidato ka ek ful mil jaye muje Salikaye Naate rasul mil jaye
Idhar me naat padu
Ya rasulallah.......
Idhar me naat padu aur mere muqaddar ko huzure pak ke qadmo ki dhool mil jaye.

03 Jis ke dil me ishq e Huzur hota he
Us ke chehre pe noor hota he
Ashikane nabi doorud pado
Kyu ke doorud pad ne se chehre pe noor hota he.

04 Ishqe aehmad ka diya dil me jala kar ta he
Jis ko sarkar jalaya wo jala kar ta he
Aur ho nahi sakta mera rizk haram
Kyu ke mera ghar aap ke tukado pe pala kar ta he.

05 Tarif jo me kar ta hun
Kheyrul anam ki
Izzat buland ho rahi he
Mere kalam ki
Meri lahad me
Tashrif layenge mustafa
Aadat bana rahu hun
Doorud o salam ki

06 Qismat me meri chain se jina likh de
Doobe na kabhi mera safeen likh de
Jannat bhi gawara he magar mere liye
Aye qatib e taqdeer madina likh de

07 Jeene ki taraf dekh na mar ne ki Taraf dekh
Jab chot lage dil pe madine ki taraf dekh
Kya baat madine ki
Sari duniya khati he khayrat madine ki

08 Aye Chand ko Tod kar jorne wale aaqa
Ham bhi tuti huyi taqdir leke baythe
Gar che aap sue garib aate
Meri soyi taqdir jagate jate..

09 Allah ka farman mita hai na mitega,
Allah ka qur’an mita hai na mitega,
Itna padho quran ke dushman bhi keh uthe,
Duniya se musalman mita hai na mitega.

10 Sukoone qalb milta hai madina yaad aata hai,
Dile bismil sambhalta hai madina yaad aata hai,
Dayare mustafa se loutne wala koi haaji,
Mujhe ajwa khilata hai madina yaad aata Hai.

11 Kya maja aaye jo ek bar me Kaba dekhu
Ba tufaile murshid me Roza e Kaba dekhu
Wo nawasa bhi he pota bhi he shahe Konen ke aziz sunke nazm,
nazmi ki sarkar ko hasta dekhu

12 Arsh se noor Chala
Aur haram tak pahuncha
Silsila mere goonah ka karam tak pahuncha Teri meraj ke tu jane kaha tak pahuncha
Meri meraj ke me tere kadam tak pahuncha

13 Qabr me jayenge to ham is ke siwa kya le jayenge
Naksha e nade ali khake shifa le jayenge
Dafan kar denge mujhe jab log hindustan me
Do farishte aayenge aur karbala le jayenge

14 Nabi ke chahne wale hai koi duniya dar thodi hai
Gulam e aehmad e mukhtar hai gaddar thodi hai
Zamin se hi Chand ke do tukde kar dale
Ke anguste rasul hai koi talwar thodi hai

15 Jis ko bhi muhammad ka wasta nahi milta
Jannat to badi chiz hai rasta nahi milta
Ye aale mohammad hai ke poshak pe jinke
Paywand to mil jate hai dhabba nahi milta
Jis din se hai nahar par abbas ka qabza
Bhuke to bahot milte hai magar pyasa nahi milta

16 Kyu na kar te ham shukr ka sajda tera
Pani pite hai tera dana khate hai tera
Meri har saans ki meri har ek dhadkan ki
Kuchh bhi to mera nahi jo bhi hai mera tera

17 Ali ka dil zahra ka chain razi ho
Yeh lazim hai shahe mashrikayn razi ho
Bata diya nabi ke tawil sajde ne
Namaz usi ki hai jis se husain razi ho.