Kaba Sharif

Sher

Allah ka farman mita hai na mitega,
Allah ka qur'an mita hai na mitega,
Itna padho quran ke dushman bhi keh uthe,
Duniya se musalman mita hai na mitega.

Rab Mujhko Bulayega main Kaabe Ko Dekhunga naat lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Rab mujhko bulayega mai kaabe ko dekhunga
Wo din bhi to ayega mai kaabe ko dekhunga

Tere haram ki kya baat maula
Tere karam ki kya baat maula
Ta-umr kar de aana muqaddar

Rab mujhko bulayega mai kaabe ko dekhunga
Wo din bhi to ayega mai kaabe ko dekhunga

Ramzan mubarak me wo samne kaabe ke
Iftar karayega mei kaabe ko dekhunga
Wo din bhi to ayega mei kaabe ko dekhoonga

Maayus nahi hu mai Allah ki rahmat se
Wo hajj pe bulayega mei kaabe ko dekhoonga
Wo din bhi to aayega mei kaabe ko dekhoonga

Kaabe pe padi jab pahli nazar
Kya cheez hai duniya bhool gaya
Yun hosh-o-khirad maflooj hue
Dil zok-e-tamasha bhool gaya
Pahuncha jo haram ki choukhat par
Ek abr-e-karam ne gher liya
Baqi na raha phir hosh mujhe
Kya manga kya kya bhool gaya

Jab pahli nazar meri us kaabe pe jayegi
Dil jhoom sa jayega mei kaabe ko dekhoonga
Wo din bhi to aayega mei kaabe ko dekhoonga

In saanso ke rukne se aur mout ke aane se
Wo pahle bulayega mei kaabe ko dekhoonga
Wo din bhi to aayega mein kaabe ko dekhoonga

Main kaabe ki chadar ko hantho se pakad lunga
Dil mera bhar aayega mein kaabe ko dekhoonga
Wo din bhi to aayega mein kaabe ko dekhoonga

Betabi ye haal-e-dil parwane se mat poochho
Jab lamha wo ayega mei kaabe ko dekhoonga
Wo din bhi to aayega mei kaabe ko dekhoonga

Tere haram ki kya baat maula
Tere karam ki kya baat maula
Allah Allah allah allah Allah..

Short Narrative

Kaba sharif Allah ke man ne walo ke dill me kuchh is tarha hai Betabi ye haal-e-dil parwane se mat poochho aur is hamd me Kabe ke didar ki tadap aur aarzu e pesh ki hai, Dua hai zindagi me khuda sab ko Ek bar Apna ghar khana e Kaba dikhae amin....