Madina sharif

Sher

Jis ke dil me ishq e Huzur hota hai
Us ke chehre pe noor hota hai
Ashikane nabi doorud pado
Kyu ke doorud pad ne se chehre pe noor hota hai.

Aye Sabz Gumbad Wale Naat Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana
Ae parda nashee dil ke parde mein raha kerna
Jab waqt e nazah aye deedar aata karna

Mai qabr andheri mein ghabraoo ga jab tanha
Imdaad meri karnay aajana meray aaqa
Roshan meri turbath ko aie noor e Khuda kerna
Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna

Mujrim hoon jahaan bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana hnu daman mein chupa lena
Maqbool yeh aarz meri lillah zara kerna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Chehre se ziya payee in chand sitaaron nay
Us dar say shifa paaye dukh dard kay maaron ne
Aataa hai unhe sabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Mehboob e ilaahi sa koyi na haseen dekha
Ye shaan he inki ke saaya bhi nahin dekha
Allah nay saaye ko chaha na judah karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna