madina-sharif-2

Arsh Par Noor E Mustafa Dekha Lyrics


By ilmnoohai.com   ·  
Updated:   ·   2 min read.

Arsh par noore mustafa dekha
Aayina garne aayina dekha

Unko dekha to bol uthe jibaril
Koi tum sa na dusra dekha
aayina garne aayina dekha

Jab madine ki yaad aai hai
Dil ka aalam ajib sa dekha
aayina garne aayina dekha

Rukhsti jab hui madine se
Ham ne mud mud ke rasta dekha
aayina garne aayina dekha

Khush hai aaqa pe kar ke sab kurban
Ek zaifa ka hosala dekha
aayina garne aayina dekha

Noore khazra se lo lagai hai
Jab bhi dil ka dia bujha dekha
aayina garne aayina dekha

Apne ghar me halima bibi ne
Chand jule me julta dekha
aayina garne aayina dekha

Aaj ki sub ha aaye wo "mahezar"
Jinka nabiyo ne rasta dekha
aayina garne aayina dekha